Advertisement

Body>Center Follow The Link

Friday 22 August 2014

Inqlab Re Writte by Thefasiontime

Inqlab Re Writte by Thefasiontime:

Inqlab
Aap agar inqlab ko smajna chaaty hain to aap ko hunri or toom ki kahani sunna ho gi ‘ Huneri or Toom dono Amrici riasat texas main rehty thy ‘ ye dono seyah form thy ‘ ye dono neem parhy likhy thy’ye dono dost or humsaye thy ye dono apni muashe or siasi zindagi badalna chahty thy’Toom ka khayal tha’humain aik ideal’ shfaf’ humdard or inqlabi hukoomat chaye inqlabi leader aye ga or or who amrica k passy howy tabkoo ko izat  ‘barabri’ insaf or roozgar dy ga hum jaisy loogo ko bhi ghar milain gy ‘ mehngi garian milain gi hum bhi jahazoo par safar karain gy ‘ hum bhi five star hoteloon main rahain gy’ hum bhi TV par ain gy or hum bhi mashoor hoo jain gy ‘ huneri ka view mukhtalif tha ‘ wo samjhta tha dunya ki koi hukoomat ‘ koi siasi jamat or koi leader kisi shukhs ka muqdar nahain badal skta’ hukoomtain or leader aap k bangly k choukidar hooty hain’ yeh  aap k bangly ki hifazat kar skty hain ‘ lakin bangla behar haal aap ny khud banaya hota hai’ huneri or or toom main ikhtalaaf ho gaya’ huneri ka apny kazan duck k sath property par jahgra chal raha tha’ mamla adalaat main tha ‘ huneri utyha ‘ apny kazan k ghar gaya’ is sy moazrat ki or sucha hony k bawajood apny haq sy dastbardar ho gaya’ us ny apni wahid gari panch hazar dollars main baichi’ arhai hazaar dollar BV ko diya or arhai hazr dollar aik cocking school main jama karwa k shave course main dakhla ly lia’  wo aik saal school main parhta raha ‘ faraigh  howa to ristoon ki shave ki noukri kar li’ wo admi tankha ghar deta tha or adhi jama kar leta tha’ wo ristooran k bussines ka bhi gahrai sy jaiza leta raha’ wo is karoobar ki khamian or ghahkoon ki zaaaaaaarooriat note karta raha’ us ny restooran main aik saal kaam kia’ is douran is k pass bara hazra dollar jama ho gaye’ huneri  ny shehar main das by das ki choti c dukan li or lunch  box banana shoro kar diya’ wo roozana do soo lunch obx banata tha’ or qareeb o juwar k daftroon or schoolon main suply karta raha yahan tak k aaj woo amrica k 14 bary shehroon main hazaroon ki taadad  main lunch box suply karta hai’ is k pass arhai hazar mulazmeen hain is ki compny 24 ghanty kaam karti hai’ us amrica ki 2 bari airlines ko luch box suply karny ka theeka bhi ly lia hai’ aaj 30 saal bad wo amrica k khush haal  tareen logon main shumar hota hai’ us k pass bangly bhi hain’ mehngi garion ka bera bhi or bees nashistoo ka zati tayara bhi hai’ huneri k sary bacho ne barglay or stenoford university sy taleem hasil ki hai’ us ny apny kazan sy wo property bhi khareed li jisy who is k ghar ja kar us k hawly kar k aya tha’  dunya k har insan k pach bari zarortain hoti hain’ paisa/ ye huneri ka pass moujood hai ‘ ghar’ ye us k pass hai’ sehat ‘ huneri dunya k mehangy haspatalon main mehanga tareen illaj kara skta hai’ inasaf’  huneri amrica k mehangy tareen wakeel or laa farmo ki khidmat hasil kar skta hai or security ‘ huneri ny apni or apny bacho k lia private security ka bandoobast kar rakha hai’ ye huneri ki story thi’ ab aap tooom ki kahani suniye’.


No comments:

Post a Comment