Inqlab
Aap agar inqlab ko
smajna chaaty hain to aap ko hunri or toom ki kahani sunna ho gi ‘ Huneri or
Toom dono Amrici riasat texas main rehty thy ‘ ye dono seyah form thy ‘ ye dono
neem parhy likhy thy’ye dono dost or humsaye thy ye dono apni muashe or siasi zindagi
badalna chahty thy’Toom ka khayal tha’humain aik ideal’ shfaf’ humdard or
inqlabi hukoomat chaye inqlabi leader aye ga or or who amrica k passy howy
tabkoo ko izat ‘barabri’ insaf or
roozgar dy ga hum jaisy loogo ko bhi ghar milain gy ‘ mehngi garian milain gi
hum bhi jahazoo par safar karain gy ‘ hum bhi five star hoteloon main rahain
gy’ hum bhi TV par ain gy or hum bhi mashoor hoo jain gy ‘ huneri ka view
mukhtalif tha ‘ wo samjhta tha dunya ki koi hukoomat ‘ koi siasi jamat or koi
leader kisi shukhs ka muqdar nahain badal skta’ hukoomtain or leader aap k
bangly k choukidar hooty hain’ yeh aap k
bangly ki hifazat kar skty hain ‘ lakin bangla behar haal aap ny khud banaya
hota hai’ huneri or or toom main ikhtalaaf ho gaya’ huneri ka apny kazan duck k
sath property par jahgra chal raha tha’ mamla adalaat main tha ‘ huneri utyha ‘
apny kazan k ghar gaya’ is sy moazrat ki or sucha hony k bawajood apny haq sy
dastbardar ho gaya’ us ny apni wahid gari panch hazar dollars main baichi’
arhai hazaar dollar BV ko diya or arhai hazr dollar aik cocking school main
jama karwa k shave course main dakhla ly lia’
wo aik saal school main parhta raha ‘ faraigh howa to ristoon ki shave ki noukri kar li’ wo
admi tankha ghar deta tha or adhi jama kar leta tha’ wo ristooran k bussines ka
bhi gahrai sy jaiza leta raha’ wo is karoobar ki khamian or ghahkoon ki
zaaaaaaarooriat note karta raha’ us ny restooran main aik saal kaam kia’ is
douran is k pass bara hazra dollar jama ho gaye’ huneri ny shehar main das by das ki choti c dukan li
or lunch box banana shoro kar diya’ wo
roozana do soo lunch obx banata tha’ or qareeb o juwar k daftroon or schoolon
main suply karta raha yahan tak k aaj woo amrica k 14 bary shehroon main
hazaroon ki taadad main lunch box suply
karta hai’ is k pass arhai hazar mulazmeen hain is ki compny 24 ghanty kaam
karti hai’ us amrica ki 2 bari airlines ko luch box suply karny ka theeka bhi
ly lia hai’ aaj 30 saal bad wo amrica k khush haal tareen logon main shumar hota hai’ us k pass
bangly bhi hain’ mehngi garion ka bera bhi or bees nashistoo ka zati tayara bhi
hai’ huneri k sary bacho ne barglay or stenoford university sy taleem hasil ki
hai’ us ny apny kazan sy wo property bhi khareed li jisy who is k ghar ja kar
us k hawly kar k aya tha’ dunya k har
insan k pach bari zarortain hoti hain’ paisa/ ye huneri ka pass moujood hai ‘
ghar’ ye us k pass hai’ sehat ‘ huneri dunya k mehangy haspatalon main mehanga
tareen illaj kara skta hai’ inasaf’
huneri amrica k mehangy tareen wakeel or laa farmo ki khidmat hasil kar
skta hai or security ‘ huneri ny apni or apny bacho k lia private security ka
bandoobast kar rakha hai’ ye huneri ki story thi’ ab aap tooom ki kahani
suniye’.